Apna Kamao

Har shakhs haqdaar ho –
rozgaar ka,
hunar ka,
izzat ka.

Tabish Qayyum
Information Secretary, PMML

Har Fard Ka Haq Hai Rozgaar Aur Hunar

Apna Kamao program har shakhs ko sikhaata hai ke kaise woh modern skills seekh kar online business shuru kar sakta hai — ghar baithay.

Apna Kamao

 PMML ka platform jo multiple free courses aur training programs ke zariye rozgaar ka raasta banata hai — har shehri ke liye.

PMML Ka Saath

 Sirf siyasat nahi, PMML har zila mein practical hunar aur mentorship le kar aa raha hai — youth aur society dono ke liye.

Yeh 10 din ka practical course Apna Kamao ka pehla qadam hai jahan aap step-by-step seekhein ge ke kis tarah investment ya bina investment ke apna online business banaya jata hai. PMML ki certified team aap ko sirf theory nahi, real-world training degi — taake aap skill ke saath action bhi lein

Module 1: E-Commerce Ki Buniyadi Maloomaat

E-commerce kya hoti hai, kaise kaam karti hai, aur 2025 mein iske kya trends hain — aap ka pehla ta’aruf is naye daur ke rozgaar se.

Module 2: Product Research & Selection

Kya bechain, kahan se laayen, aur kaise samjhein ke kon sa product market mein chalay ga — sab kuch simple tools ke zariye.

Module 3: Store Setup

Apna online store banana sirf designers ka kaam nahi. Aap khud apna store Shopify ya Daraz par bana sakte hain — bina coding ke.

Module 4: Branding & Design Basics

Achi branding aur dikhne wala design customer ka trust jeet’ta hai. Aap seekhein ge ke basic visuals kaise banayein.

Module 5: Facebook & Instagram Ads

Kya aapko pata hai ke paisa ads mein nahi, strategy mein chhupa hota hai? Is module mein mile gi real ad setup training.

Module 6: Order Management & Delivery

Customer order se le kar delivery tak — aap ka business process streamline hona chahiye. Is module mein poora system sikhaya jaye ga.

Module 7: Customer Service & Retention

Har order ek customer deta hai — lekin repeat order trust deta hai. Seekhiye professional customer dealing aur loyalty banana.

Module 8: Payments & Profit Calculation

Payment gateways, charges, aur actual munafa kaise nikaalna hai? Yahan aapko milay gi complete financial clarity.

Module 9: Freelance E-Commerce Projects

Agar apna store nahi banana, to dosron ke liye kaam kar ke kamao — fiverr, upwork aur Pakistani/international clients se kaam lena seekho.

Module 10: PMML Consultancy

Course ka amli fayeda: Apna mini store, apna product aur apni ad banaiye. PMML ki taraf se expert guidance bhi mile gi.

REGISTRATION FORM


Form fill karnay kay baad ap ko WhatsApp Channel join hoga.

Course mein Haziri aur Certificate kay liye registration zuroori hay.

Agar kisi wajah se WhatsApp Community join na kar payein to Register karnay kay baad hamaray number 0325-11-333-22 par apna name aur email WhatsApp message karein.